Pattiyon ko toh aksar zhadte dekha hai maine
Inme se sundar kuch ko apni kitabon ke beech sambhal kar rakha hai kai baar maine
Tez hawaa ke jhonkon se paido ko bhi girte dekha hai maine
Lekin kal ka nazaara kuch aur hi tha
Inme se sundar kuch ko apni kitabon ke beech sambhal kar rakha hai kai baar maine
Tez hawaa ke jhonkon se paido ko bhi girte dekha hai maine
Lekin kal ka nazaara kuch aur hi tha
Garmi se pareshaan main baarish baarish khoob keh rahi thi, intezaar kar rahi thi
Aur kal jab aayi baarish toh meri khushi ka koi thikana na tha
Lekin kehte hai na har cheez ke do pehlu hote hain
Yahan main khushi se jhoom rahi thi
Us barsaat ka lutf utha rahi thi
Aur wahan kuch bahut dardnaak sa ho raha tha
Kuch samay baad ek ped ko badi behrami se tootte bikharte hue dekha
Patte toh the hi nahi kewal ped hi tha
Phir bhi kaafi mann bhaata tha
Kuch alag si kashish thi usme
Aur main ghanto dekhti thi use
Bada sukoon mehsoos hota tha
Lekin kal uski chavi ko tootte dekha
Uski do daaliyon ko usse alag hote dekha
Reh reh kar bahut khayal aaye mere mann mein
Jab choti choti chot pe itna dard hota hai humein
Toh kaise laga hoga us ped aur uski daaliyon ko
Inme bhi toh jaan hoti hai na
Bas ek hi pal mein badal gayi soorat uski
Kya dard se kharhaya hoga unhone
Kya bichadne ka gam sataya hoga unhe…
Barsaat tham gayi aur zindagi phir lagi daudne
Woh waise bhi kahan thamti hai kisi ke liye
Lekin bahut ajeeb lag raha hai mujhe ab bhi
Us toote hue ped ko dekhkar
Uski tooti hui daaliyon ko bikhra dekhkar
Aur jab mujhe lag raha hai aisa toh unhe kaisa lag raha hoga
Kya woh kos rahe honge us baarish ko
Ya apni lachaari pe dukh mehsoos kar rahe honge
Jo bhi hai, main mehsoos kar sakti hun unke dard ko
Ek aah si uth rahi hai
Aur ab lag raha hai
Shayad agli baar baarish ko yaad karne se bhi thoda katraongi main!

No comments:
Post a Comment